jis mein hon ghair ke mange hue jam ai saqi
jis meñ hoñ ġhair ke māñge hue jaam ai saaqī
aise maiḳhāne ko merā to salām ai saaqī
chāhiye mujh ko na.e jehd-o-amal kī sahbā
mujh pe hai bāda-e-doshīnā harām ai saaqī
azm-e-nau jur.at-e-sābiq kā sahārā le kar
phir badalnā hai zamāne kā nizām ai saaqī
jis kī mahdūd rahe sahn-e-chaman tak parvāz
aise shāhīñ se mujhe kuchh nahīñ kaam ai saaqī
jo badal lete haiñ tasbīh se paimāne ko
aise bhī hote haiñ rusvā-kun-e-jām ai saaqī
biit jā.egī ḳhizāñ biit ga.ī fasl-e-bahār
hai yahāñ aish na hai ġham hī mudām ai saaqī
ho vo taqlīd-e-junūñ yā ho vo taqlīd-e-ḳhirad
donoñ haiñ rasm-e-ġhulāmī ke imaam ai saaqī
gul-faroshī ke pas-e-parda qafas haiñ sad.hā
yaañ har ik daana hai parvarda-e-dām ai saaqī
chashma-e-faiz hai tere haiñ adū bhī sairāb
hai tirī chashm-e-karam rahmat-e-ām ai saaqī
jis mein hon ghair ke mange hue jam ai saqi
aise maiKHane ko mera to salam ai saqi
chahiye mujh ko nae jehd-o-amal ki sahba
mujh pe hai baada-e-doshina haram ai saqi
azm-e-nau jurat-e-sabiq ka sahaara le kar
phir badalna hai zamane ka nizam ai saqi
jis ki mahdud rahe sahn-e-chaman tak parwaz
aise shahin se mujhe kuchh nahin kaam ai saqi
jo badal lete hain tasbih se paimane ko
aise bhi hote hain ruswa-kun-e-jam ai saqi
bit jaegi KHizan bit gai fasl-e-bahaar
hai yahan aish na hai gham hi mudam ai saqi
ho wo taqlid-e-junun ya ho wo taqlid-e-KHirad
donon hain rasm-e-ghulami ke imam ai saqi
gul-faroshi ke pas-e-parda qafas hain sadha
yan har ek dana hai parwarda-e-dam ai saqi
chashma-e-faiz hai tere hain adu bhi sairab
hai teri chashm-e-karam rahmat-e-am ai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.