jis mein ek husn-e-tawazun ho wo nudrat di jae
jis meñ ik husn-e-tavāzun ho vo nudrat dī jaa.e
kyā qabāhat hai agar fikr ko vus.at dī jaa.e
mashvare qābil-e-taslīm tire haiñ ki nahīñ
ġhaur karne ke liye kuchh mujhe mohlat dī jaa.e
maslahat jhuuT pe insān ko maa.il kar de
is qadar saḳht na tā'zīr-e-sadāqat dī jaa.e
is amal se dil-e-fankār pe kyā guzregī
le ke mahtāb agar sham.a kī qīmat dī jaa.e
saḳht mushkil hai ġhalat baat pe qaa.il karnā
ek do hoñ to unheñ fahm-o-basīrat dī jaa.e
baat to jab hai ki mamnūn-e-bahārāñ hoñ sabhī
phuul to phuul haiñ kāñToñ ko bhī nuz.hat dī jaa.e
chāra-e-ġham ke liye shart hai iḳhlās 'nasīr'
kaun hai shahr meñ aisā jise zahmat dī jaa.e
jis mein ek husn-e-tawazun ho wo nudrat di jae
kya qabahat hai agar fikr ko wusat di jae
mashware qabil-e-taslim tere hain ki nahin
ghaur karne ke liye kuchh mujhe mohlat di jae
maslahat jhuT pe insan ko mail kar de
is qadar saKHt na ta'zir-e-sadaqat di jae
is amal se dil-e-fankar pe kya guzregi
le ke mahtab agar shama ki qimat di jae
saKHt mushkil hai ghalat baat pe qail karna
ek do hon to unhen fahm-o-basirat di jae
baat to jab hai ki mamnun-e-bahaaran hon sabhi
phul to phul hain kanTon ko bhi nuzhat di jae
chaara-e-gham ke liye shart hai iKHlas 'nasir'
kaun hai shahr mein aisa jise zahmat di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.