jis mein ek sahra tha ek diwana tha
jis meñ ik sahrā thā ik dīvāna thā
soch rahā huuñ vo kis kā afsāna thā
ḳhvāb to mujh ko mele tak le aa.e the
niiñd ke bāhar to vo hī vīrāna thā
chādar ke bāhar bedārī baiThī thī
aise meñ kyā paañv mujhe phailānā thā
ek akelī nazm thī puure safhe par
nazm thā baaqī par jo vo vīrāna thā
raat banā detī thī ik pal yādoñ kā
maazī tak yuuñ merā aanā jaanā thā
'ātish' tujh ko naaz bahut thā sūraj par
shaam ke Dhalte hī jis ko bujh jaanā thā
jis mein ek sahra tha ek diwana tha
soch raha hun wo kis ka afsana tha
KHwab to mujh ko mele tak le aae the
nind ke bahar to wo hi virana tha
chadar ke bahar bedari baiThi thi
aise mein kya panw mujhe phailana tha
ek akeli nazm thi pure safhe par
nazm tha baqi par jo wo virana tha
raat bana deti thi ek pal yaadon ka
mazi tak yun mera aana jaana tha
'atish' tujh ko naz bahut tha suraj par
sham ke Dhalte hi jis ko bujh jaana tha
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 27)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.