jis mein ruswai mohabbat ki ho wo kaam na kar
jis meñ rusvā.ī mohabbat kī ho vo kaam na kar
raaz ko raaz rakh ai dil tū ise 'aam na kar
manzar-e-sub.h kā iz.hār dam-e-shām na kar
jalva-e-ruḳh ko 'ayāñ aa ke sar-e-bām na kar
'azm-e-puḳhta ko tū said-e-havas-e-ḳhām na kar
sar-e-āġhāz hī andesha-e-anjām na kar
maiñ ne kī aah to ruk jā.egī raftār tirī
dekh majbūr mujhe gardish-e-ayyām na kar
rāt-bhar niiñd nahīñ aa.egī sayyād hameñ
tazkira baaġh ke phūloñ kā sar-e-shām na kar
kah de hāl-e-ġham-e-dil āñkhoñ hī āñkhoñ meñ 'habīb'
lab se fariyād na kar 'ishq ko badnām na kar
jis mein ruswai mohabbat ki ho wo kaam na kar
raaz ko raaz rakh ai dil tu ise 'am na kar
manzar-e-subh ka izhaar dam-e-sham na kar
jalwa-e-ruKH ko 'ayan aa ke sar-e-baam na kar
'azm-e-puKHta ko tu said-e-hawas-e-KHam na kar
sar-e-aghaz hi andesha-e-anjam na kar
main ne ki aah to ruk jaegi raftar teri
dekh majbur mujhe gardish-e-ayyam na kar
raat-bhar nind nahin aaegi sayyaad hamein
tazkira bagh ke phulon ka sar-e-sham na kar
kah de haal-e-gham-e-dil aankhon hi aankhon mein 'habib'
lab se fariyaad na kar 'ishq ko badnam na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.