jis ne baKHshi hai fughan usko suna bhi na sakun

jis ne baKHshi hai fughan usko suna bhi na sakun
Ram Chandr Varma Sahil
MORE BYRam Chandr Varma Sahil
jis ne baḳhshī hai fuġhāñ us ko sunā bhī na sakūñ
kaisā naġhma hai jise saaz pe gā bhī na sakūñ
dil meñ ik is ke sivā dūsrī tasvīr nahīñ
us ke ā.īne ko us ko hī dikhā bhī na sakūñ
tum anā chhoḌ ke aao to bhulā duuñ har rañj
harf qismat kā nahīñ huuñ ki miTā bhī na sakūñ
soch le ab bhī tere haath hai donoñ kā sakūñ
varna mumkin hai kabhī lauT ke aa bhī na sakūñ
haa.e pābandī-e-bechārgī-e-ahd-e-vafā
zaḳhm us ke hī use gin ke batā bhī na sakūñ
vo to qatroñ ko bhī tarsātā hai dariyā ho kar
aag jo dil meñ lagī hai vo bujhā bhī na sakūñ
bojh aisā hai gunāhoñ kā ki jis ko 'sāhil'
apne kamzor se kāñdhoñ pe uThā bhī na sakūñ
jis ne baKHshi hai fughan us ko suna bhi na sakun
kaisa naghma hai jise saz pe ga bhi na sakun
dil mein ek is ke siwa dusri taswir nahin
us ke aaine ko us ko hi dikha bhi na sakun
tum ana chhoD ke aao to bhula dun har ranj
harf qismat ka nahin hun ki miTa bhi na sakun
soch le ab bhi tere hath hai donon ka sakun
warna mumkin hai kabhi lauT ke aa bhi na sakun
hae pabandi-e-bechaargi-e-ahd-e-wafa
zaKHm us ke hi use gin ke bata bhi na sakun
wo to qatron ko bhi tarsata hai dariya ho kar
aag jo dil mein lagi hai wo bujha bhi na sakun
bojh aisa hai gunahon ka ki jis ko 'sahil'
apne kamzor se kandhon pe uTha bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.