jis ne bhi hausle ko rakha hai uDan mein
jis ne bhī hausle ko rakhā hai uḌaan meñ
uḌtā rahā vo der talak āsmān meñ
duniyā ne baat baat pe samjhā jise haqīr
vo paas ho gayā hai baḌe imtihān meñ
jā.eñge tiir jang meñ utnī hī duur tak
jitnā rahegā zor tumhārī kamān meñ
bolā thā ek jhuuT kisī din tapāk se
phañstā chalā gayā vo usī ik bayān meñ
us kī ghuTan kā koī bhalā kyā kare 'ilāj
kamre bahut hī tang haiñ jis ke makān meñ
kaisā hai kaun shaḳhs koī dekhtā nahīñ
uljhe haiñ saare log siyāsī nishān meñ
jis ne bhi hausle ko rakha hai uDan mein
uDta raha wo der talak aasman mein
duniya ne baat baat pe samjha jise haqir
wo pas ho gaya hai baDe imtihan mein
jaenge tir jang mein utni hi dur tak
jitna rahega zor tumhaari kaman mein
bola tha ek jhuT kisi din tapak se
phansta chala gaya wo usi ek bayan mein
us ki ghuTan ka koi bhala kya kare 'ilaj
kamre bahut hi tang hain jis ke makan mein
kaisa hai kaun shaKHs koi dekhta nahin
uljhe hain sare log siyasi nishan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.