jis ne jannat dikhlai hai pyar ka ek ma’ani de kar
jis ne jannat dikhlai hai pyar ka ek ma’ani de kar
Prashant Mishra Man
MORE BYPrashant Mishra Man
jis ne jannat dikhlā.ī hai pyaar kā ek ma’ānī de kar
niklā huuñ maiñ use bhulāne nadī kināre paanī de kar
jis kī yādoñ ke jangal meñ maiñ banjāra bhaTak rahā huuñ
merā hāl-e-dil tum us se kahnā merī nishānī de kar
ek añgūThī phir jai-mālā saat vachan aur phere saat
ham tum ek ho rahe aise ik rishta rūmānī de kar
harf-harf sachchā hotā hai she'r qīmtī ho jaate haiñ
uulā misre ko chāhat ke mīThe-pan kā saanī de kar
ham ne maanā 'ishq meñ haare dīvāne mar jaate haiñ sau
ḳhud kī jaañ ham bachā rahe haiñ ḳhud ko hī nigarānī de kar
mushkilāt se phir apnoñ se phir ḳhud se laḌnā paḌtā hai
yā'nī 'ishq nahīñ miltā hai kabhī koī āsānī de kar
jis ne jannat dikhlai hai pyar ka ek ma’ani de kar
nikla hun main use bhulane nadi kinare pani de kar
jis ki yaadon ke jangal mein main banjara bhaTak raha hun
mera haal-e-dil tum us se kahna meri nishani de kar
ek anguThi phir jai-mala sat wachan aur phere sat
hum tum ek ho rahe aise ek rishta rumani de kar
harf-harf sachcha hota hai she'r qimti ho jate hain
ula misre ko chahat ke miThe-pan ka sani de kar
hum ne mana 'ishq mein haare diwane mar jate hain sau
KHud ki jaan hum bacha rahe hain KHud ko hi nigarani de kar
mushkilat se phir apnon se phir KHud se laDna paDta hai
ya'ni 'ishq nahin milta hai kabhi koi aasani de kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.