jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai
jis ne mere sar par tohmat rakkhī hai
maiñ ne us ke ghar kī izzat rakkhī hai
baat alag hai fāqa-mast faqīroñ kī
Thokar meñ duniyā kī daulat rakkhī hai
amrit jal le jaao ki us ne hāthoñ meñ
kuaañ khodne-bhar kī tāqat rakkhī hai
maiñ ne to dutkār diyā sau baar use
lekin us ne merī izzat rakkhī hai
safar bahut mushkil hai paapī duniyā kā
izzat ke pīchhe hī zillat rakkhī hai
mazdūroñ ko phal se kyā lenā-denā
un ke hisse meñ to mehnat rakkhī hai
ghar ke bāhar bhiiḌ lagī hai mañgtoñ kī
jaise mere ghar meñ daulat rakkhī hai
maañ kā rutba sab se ūñchā hai 'sanjai'
us ke paañv ke nīche jannat rakkhī hai
jis ne mere sar par tohmat rakkhi hai
main ne us ke ghar ki izzat rakkhi hai
baat alag hai faqa-mast faqiron ki
Thokar mein duniya ki daulat rakkhi hai
amrit jal le jao ki us ne hathon mein
kuan khodne-bhar ki taqat rakkhi hai
main ne to dutkar diya sau bar use
lekin us ne meri izzat rakkhi hai
safar bahut mushkil hai papi duniya ka
izzat ke pichhe hi zillat rakkhi hai
mazduron ko phal se kya lena-dena
un ke hisse mein to mehnat rakkhi hai
ghar ke bahar bhiD lagi hai mangton ki
jaise mere ghar mein daulat rakkhi hai
man ka rutba sab se uncha hai 'sanjai'
us ke panw ke niche jannat rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.