jis ne meri hi taraf tir chalaya main tha
jis ne merī hī taraf tiir chalāyā maiñ thā
aur jo is tiir se bach kar nikal aayā maiñ thā
in charāġhoñ ke ab itne bhī qasīde na paḌho
yaar tum ne jise rātoñ ko jalāyā maiñ thā
ai havā mere safīne ko Dubone vaalī
dekh tū ne jise sāhil pe lagāyā maiñ thā
ḳhaak par Dher hai qātil ye karishma kyā hai
ki nishāne pe to muddat se ḳhudāyā maiñ thā
jo mujhe le ke chalī thī vo havā lauT ga.ī
phir kabhī jis ne pata ghar kā na paayā maiñ thā
ab lahū tum ko bhī pyārā hai chalo yūñhī sahī
varna ye rang to is dasht meñ laayā maiñ thā
jis ne meri hi taraf tir chalaya main tha
aur jo is tir se bach kar nikal aaya main tha
in charaghon ke ab itne bhi qaside na paDho
yar tum ne jise raaton ko jalaya main tha
ai hawa mere safine ko Dubone wali
dekh tu ne jise sahil pe lagaya main tha
KHak par Dher hai qatil ye karishma kya hai
ki nishane pe to muddat se KHudaya main tha
jo mujhe le ke chali thi wo hawa lauT gai
phir kabhi jis ne pata ghar ka na paya main tha
ab lahu tum ko bhi pyara hai chalo yunhi sahi
warna ye rang to is dasht mein laya main tha
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 77)
- Author : Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.