jis ne nahin dukh hasti mein saha dukh-dard ki baaten kya jaane
jis ne nahin dukh hasti mein saha dukh-dard ki baaten kya jaane
Hameeda Moeen Rizvi
MORE BYHameeda Moeen Rizvi
jis ne nahīñ dukh hastī meñ sahā dukh-dard kī bāteñ kyā jaane
ġhurbat ke alam meñ TuuTī chhat bhīgī barsāteñ kyā jaane
us nuur kā jo bhī munkir hai andhā hai añdhere kā baasī
vo shams-o-qamar ko kyā jaane tāroñ kī barāteñ kyā jaane
jo sūd-o-ziyāñ kā banda hai dil us kā havas kā phandā hai
insāñ se muravvat kyā jaane dukh kī sauġhāteñ kyā jaane
kuchh mīr-e-haram meñ naḳhvat thī kuchh kor-basīrat bhī thā vo
pahchān na ho dushman kī jise dushman kī vo ghāteñ kyā jaane
vo haar ke baazī jiit gayā maiñ jiit ke sab kuchh haar ga.ī
mujh aisī sāda-dil laḌkī bāzī-o-bisāteñ kyā jaane
kuchh dukh to mile taqdīr se the kuchh us par izāfa us ne kiyā
vo shahr-e-nigārāñ kā baasī suulī pe ye rāteñ kyā jaane
jis ne nahin dukh hasti mein saha dukh-dard ki baaten kya jaane
ghurbat ke alam mein TuTi chhat bhigi barsaten kya jaane
us nur ka jo bhi munkir hai andha hai andhere ka basi
wo shams-o-qamar ko kya jaane taron ki baraaten kya jaane
jo sud-o-ziyan ka banda hai dil us ka hawas ka phanda hai
insan se murawwat kya jaane dukh ki saughaten kya jaane
kuchh mir-e-haram mein naKHwat thi kuchh kor-basirat bhi tha wo
pahchan na ho dushman ki jise dushman ki wo ghaten kya jaane
wo haar ke bazi jit gaya main jit ke sab kuchh haar gai
mujh aisi sada-dil laDki bazi-o-bisaten kya jaane
kuchh dukh to mile taqdir se the kuchh us par izafa us ne kiya
wo shahr-e-nigaran ka basi suli pe ye raaten kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.