jis ne rakkha hai hamesha nafraton ke darmiyan
jis ne rakkhā hai hamesha nafratoñ ke darmiyāñ
vo dhaḌaktā phir rahā hai dhaḌkanoñ ke darmiyāñ
zindagī ko ġhaur se dekhā to mujh ko yuuñ lagā
ek tavā.if jis tarah ho manchaloñ ke darmiyāñ
us harīm-e-nāz se shikva kiyā thā ek din
manzileñ bikhrī paḌī haiñ rāstoñ ke darmiyāñ
bebasī sī bebasī hai kyā kaheñ kis se kaheñ
maiñ to pyāsā mar rahā huuñ bādaloñ ke darmiyāñ
nā-rasā.ī kā ye dukh to maar Dālegā mujhe
kasmapursī kā samāñ hai chāhatoñ ke darmiyāñ
'mīr' ke lahje meñ ġhazleñ kah rahā huuñ aaj bhī
naam kuchh kuchh ban rahā hai ġhāliboñ ke darmiyāñ
pyaar ke saare manāzir dhuñdlakoñ meñ Dhal ga.e
kuchh kamī sī rah ga.ī thī rābtoñ ke darmiyāñ
zindagī ke is bhañvar se kaun nikle dekhiye
che-mī-goīyāñ ho rahī haiñ be-basoñ ke darmiyāñ
sar pe chhat na sā.ebāñ haiñ bebasī to dekhiye
kāġhazī ik pairāhan hai bārishoñ ke darmiyāñ
fāḳhta zaitūn kī shāḳhoñ pe maarī jā.egī
faisla ye ho chukā hai zālimoñ ke darmiyāñ
dostoñ rahne bhī do jhūTī tasallī kis liye
vaqt achchhā kaT rahā hai mushkiloñ ke darmiyāñ
vo akelā hai aur us ke chāhne vaale bahut
jang hone jā rahī hai 'āshiqoñ ke darmiyāñ
dushmanoñ se kah diyā hai fikr merī chhoḌ deñ
maiñ khaḌā huuñ aaj bhī kuchh dostoñ ke darmiyāñ
kis tarah 'dā.em' kaTegā be-yaqīnī kā safar
mashvara ye ho rahā hai qāfiloñ ke darmiyāñ
jis ne rakkha hai hamesha nafraton ke darmiyan
wo dhaDakta phir raha hai dhaDkanon ke darmiyan
zindagi ko ghaur se dekha to mujh ko yun laga
ek tawaif jis tarah ho manchalon ke darmiyan
us harim-e-naz se shikwa kiya tha ek din
manzilen bikhri paDi hain raston ke darmiyan
bebasi si bebasi hai kya kahen kis se kahen
main to pyasa mar raha hun baadalon ke darmiyan
na-rasai ka ye dukh to mar Dalega mujhe
kasmapursi ka saman hai chahaton ke darmiyan
'mir' ke lahje mein ghazlen kah raha hun aaj bhi
nam kuchh kuchh ban raha hai ghaalibon ke darmiyan
pyar ke sare manazir dhundlakon mein Dhal gae
kuchh kami si rah gai thi rabton ke darmiyan
zindagi ke is bhanwar se kaun nikle dekhiye
che-mi-goiyan ho rahi hain be-bason ke darmiyan
sar pe chhat na saeban hain bebasi to dekhiye
kaghazi ek pairahan hai barishon ke darmiyan
faKHta zaitun ki shaKHon pe mari jaegi
faisla ye ho chuka hai zalimon ke darmiyan
doston rahne bhi do jhuTi tasalli kis liye
waqt achchha kaT raha hai mushkilon ke darmiyan
wo akela hai aur us ke chahne wale bahut
jang hone ja rahi hai 'ashiqon ke darmiyan
dushmanon se kah diya hai fikr meri chhoD den
main khaDa hun aaj bhi kuchh doston ke darmiyan
kis tarah 'daem' kaTega be-yaqini ka safar
mashwara ye ho raha hai qafilon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.