jis ne teri yaad mein sajde kiye the KHak par
jis ne terī yaad meñ sajde kiye the ḳhaak par
us ke qadmoñ ke nishāñ paa.e ga.e aflāk par
vāqi.a ye kun-fakāñ se bhī bahut pahle kā hai
ik bashar kā nuur thā qindīl meñ aflāk par
dostoñ kī mahfiloñ se duur ham hote ga.e
jaise jaise silvaTeñ paḌtī ga.iiñ poshāk par
maḳhmalī hoñToñ pe bosoñ kī namī Thahrī huī
saañs uljhī zulf bikhrī silvaTeñ poshāk par
pāniyoñ kī sāzishoñ ne jab bhañvar Daale 'farāz'
tabsira karte rahe sab Dūbte tairāk par
jis ne teri yaad mein sajde kiye the KHak par
us ke qadmon ke nishan pae gae aflak par
waqia ye kun-fakan se bhi bahut pahle ka hai
ek bashar ka nur tha qindil mein aflak par
doston ki mahfilon se dur hum hote gae
jaise jaise silwaTen paDti gain poshak par
maKHmali honTon pe boson ki nami Thahri hui
sans uljhi zulf bikhri silwaTen poshak par
paniyon ki sazishon ne jab bhanwar Dale 'faraaz'
tabsira karte rahe sab Dubte tairak par
- Book : Kashkol (Pg. 140)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.