jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna paDta hai
jis par dil rotā hai vo bhī hañs kar karnā paḌtā hai
apne ghar kī raunaq ko ḳhud be-ghar karnā paḌtā hai
achchhe achchhe dab jaate haiñ rasm-e-zamāna ke aage
dekh ke chup rahte haiñ dil ko patthar karnā paḌtā hai
aane vaale din kī fikreñ ḳhvāboñ ko Das letī haiñ
niiñd se jaltī āñkhoñ ko be-manzar karnā paḌtā hai
chāhne aur chāhe jaane kī ḳhvāhish jurm nahīñ lekin
rusvā.ī ko apne sar kī chādar karnā paḌtā hai
aise moḌ pe aa jaatī hai baḌhte baḌhte baat kabhī
phuul se lahje ko majbūran ḳhanjar karnā paḌtā hai
raat parā.e des meñ kaaTī to ye bhī ma.alūm huā
haath ko takiya aur zamīñ ko bistar karnā paḌtā hai
jī kahtā hai rad kar duuñ maiñ aise ḳhvāboñ ko 'ma.asūm'
jin kī ta.abīroñ par mātam aksar karnā paḌtā hai
jis par dil rota hai wo bhi hans kar karna paDta hai
apne ghar ki raunaq ko KHud be-ghar karna paDta hai
achchhe achchhe dab jate hain rasm-e-zamana ke aage
dekh ke chup rahte hain dil ko patthar karna paDta hai
aane wale din ki fikren KHwabon ko Das leti hain
nind se jalti aankhon ko be-manzar karna paDta hai
chahne aur chahe jaane ki KHwahish jurm nahin lekin
ruswai ko apne sar ki chadar karna paDta hai
aise moD pe aa jati hai baDhte baDhte baat kabhi
phul se lahje ko majburan KHanjar karna paDta hai
raat parae des mein kaTi to ye bhi malum hua
hath ko takiya aur zamin ko bistar karna paDta hai
ji kahta hai rad kar dun main aise KHwabon ko 'masum'
jin ki tabiron par matam aksar karna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.