jis par mile sukun wahi dar bana mujhe
jis par mile sukūn vahī dar banā mujhe
yā phir kisī ke vāste ik ghar banā mujhe
bāhar ye bārisheñ mujhe be-kār kar na deñ
tū rang bhar rahā hai to andar banā mujhe
baiThe jahāñ sukūn se bāteñ kare koī
aisī hī ek bench kā patthar banā mujhe
nadiyoñ kī pyaas ban ke kisī ik jagah rahūñ
ḳhārā banā bhale pa samundar banā mujhe
aisā banā kisī ke zarā kaam aa sakūñ
kab chāhtā huuñ maiñ ki sikandar banā mujhe
jis par mile sukun wahi dar bana mujhe
ya phir kisi ke waste ek ghar bana mujhe
bahar ye barishen mujhe be-kar kar na den
tu rang bhar raha hai to andar bana mujhe
baiThe jahan sukun se baaten kare koi
aisi hi ek bench ka patthar bana mujhe
nadiyon ki pyas ban ke kisi ek jagah rahun
KHara bana bhale pa samundar bana mujhe
aisa bana kisi ke zara kaam aa sakun
kab chahta hun main ki sikandar bana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.