jis qadar bhi phail jaun manzaron ke darmiyan
jis qadar bhī phail jā.ūñ manzaroñ ke darmiyāñ
āsmāñ to aa nahīñ saktā paroñ ke darmiyāñ
mere rone kī sadā jaatī nahīñ hamsā.e tak
aur kitnā fāsla ho do gharoñ ke darmiyāñ
hañs rahe haiñ dekh kar zaḳhm-e-junūñ kī vahshateñ
ghir ga.e ham ahl-e-dil kin masḳharoñ ke darmiyāñ
khīñch laa.ī zindagī ham ko bhare bāzār meñ
ham tamāshā ban ga.e bāzīgaroñ ke darmiyāñ
chaar jānib se hai dil par yūrish-e-ālām-o-ġham
ek ā.īna paḌā hai pattharoñ ke darmiyāñ
faisla honā hai āḳhir teġh aur dastār meñ
kashmakash baḌhne lagī hai ab saroñ ke darmiyāñ
manziloñ kā zikr kaise ho abhī to ḳhair se
raah kā jhagḌā paḌā hai rahbaroñ ke darmiyāñ
mashvara merā bhī sunte mashvaroñ ke darmiyāñ
uTThā baiThā maiñ bhī huuñ dīda-varoñ ke darmiyāñ
ham ne maane hī nahīñ jabr-o-sitam ke zābte
sar-buland 'āzar' rahe ham ḳhud-saroñ ke darmiyāñ
jis qadar bhi phail jaun manzaron ke darmiyan
aasman to aa nahin sakta paron ke darmiyan
mere rone ki sada jati nahin hamsae tak
aur kitna fasla ho do gharon ke darmiyan
hans rahe hain dekh kar zaKHm-e-junun ki wahshaten
ghir gae hum ahl-e-dil kin masKHaron ke darmiyan
khinch lai zindagi hum ko bhare bazar mein
hum tamasha ban gae bazigaron ke darmiyan
chaar jaanib se hai dil par yurish-e-alam-o-gham
ek aaina paDa hai pattharon ke darmiyan
faisla hona hai aaKHir tegh aur dastar mein
kashmakash baDhne lagi hai ab saron ke darmiyan
manzilon ka zikr kaise ho abhi to KHair se
rah ka jhagDa paDa hai rahbaron ke darmiyan
mashwara mera bhi sunte mashwaron ke darmiyan
uTTha baiTha main bhi hun dida-waron ke darmiyan
hum ne mane hi nahin jabr-o-sitam ke zabte
sar-buland 'azar' rahe hum KHud-saron ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.