jis qadar bhi zahr dil mein tha zaban par aa gaya
jis qadar bhi zahr dil mein tha zaban par aa gaya
Inder Sauroop Datt Nadan
MORE BYInder Sauroop Datt Nadan
jis qadar bhī zahr dil meñ thā zabāñ par aa gayā
us ke lab khulte hī goyā saañp sā lahrā gayā
raat jo ham ne sunī thī vo tirī āvāz thī
sub.h lekin apnī ḳhush-fahmī pe ronā aa gayā
ab ye afsurda dhuñdalke oḌh kar so jā.iye
ab to vā'doñ ke jahāñ kā chāñd bhī gahnā gayā
jaane māyūsī kī kis manzil meñ the ahl-e-yaqīñ
piir kā dhāgā bhī un ko raushnī dikhlā gayā
dekhiye Tiktī haiñ kab tak ye purānī khiḌkiyāñ
aaj saḌkoñ kā tamaddun un kā dil dahlā gayā
aao 'nādāñ' aaj us nāsūr kā mātam kareñ
jo ḳhirāj-e-zindagī le kar bhī ham ko khā gayā
jis qadar bhi zahr dil mein tha zaban par aa gaya
us ke lab khulte hi goya sanp sa lahra gaya
raat jo hum ne suni thi wo teri aawaz thi
subh lekin apni KHush-fahmi pe rona aa gaya
ab ye afsurda dhundalke oDh kar so jaiye
ab to wa'don ke jahan ka chand bhi gahna gaya
jaane mayusi ki kis manzil mein the ahl-e-yaqin
pir ka dhaga bhi un ko raushni dikhla gaya
dekhiye Tikti hain kab tak ye purani khiDkiyan
aaj saDkon ka tamaddun un ka dil dahla gaya
aao 'nadan' aaj us nasur ka matam karen
jo KHiraj-e-zindagi le kar bhi hum ko kha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.