jis qadar zabt kiya aur bhi rona aaya
jis qadar zabt kiyā aur bhī ronā aayā
ye tabī.at nahīñ aa.ī koī dariyā aayā
kaam kyā jazb-e-tamannā-e-zuleḳhā aayā
kārvāñ bhī chah-e-yūsuf hī pe hotā aayā
kūcha-e-yār meñ aa kar nahīñ jaatā koī
ye vo jā hai ki yahāñ jo koī aayā aayā
raat kyā jāniye kis tarah guzārī ham ne
apne va.ade pe shab-e-va.ada to achchhā aayā
aa ga.e aaj vo aġhyār ke bahkāne meñ
nahīñ ma.alūm burā vaqt ye kis kā aayā
kashish-e-shauq ne majbūr kiyā hai sau baar
maiñ to vaañ jaane kī har baar qasam khā aayā
haath donoñ na hue siine se ik jaa.e judā
maiñ chaman meñ dil-e-nāshād ko bahlā aayā
vaañ se ye shakl banā.e hue aayā qāsid
maiñ ne jaanā mujhe paiġhām qazā kā aayā
ham ne dar-parda bhī kī terī burā.ī na kabhī
shukr kah kar bhī na lab par koī shikvā aayā
va.ada-e-vasl pe qasmeñ to na khā ahd-shikan
bāvar aayā mujhe bas aur to aayā aayā
kah uThā aaj ki us but ko ḳhudā laa.e kahīñ
shukr hai lab pe mire naam ḳhudā kā aayā
fitne qadmoñ se lage rahte haiñ goyā har-dam
aap kyā aa.e ki ik majma-e-ādā aayā
ashk āñkhoñ meñ bhare lab pe fuġhāñ dāman-e-chāk
jo tamāshe ko gayā vaañ se tamāshā aayā
girye ko zabt kiyā ruk na sake naale aah
TukḌe ho ho ke mire muñh ko kaleja aayā
jis ne dekhā mujhe fariyād-kunāñ vaañ 'sālik'
rahm kaisā vo burā mujh ko hī kahtā aayā
jis qadar zabt kiya aur bhi rona aaya
ye tabiat nahin aai koi dariya aaya
kaam kya jazb-e-tamanna-e-zuleKHa aaya
karwan bhi chah-e-yusuf hi pe hota aaya
kucha-e-yar mein aa kar nahin jata koi
ye wo ja hai ki yahan jo koi aaya aaya
raat kya jaaniye kis tarah guzari hum ne
apne wade pe shab-e-wada to achchha aaya
aa gae aaj wo aghyar ke bahkane mein
nahin malum bura waqt ye kis ka aaya
kashish-e-shauq ne majbur kiya hai sau bar
main to wan jaane ki har bar qasam kha aaya
hath donon na hue sine se ek jae juda
main chaman mein dil-e-nashad ko bahla aaya
wan se ye shakl banae hue aaya qasid
main ne jaana mujhe paigham qaza ka aaya
hum ne dar-parda bhi ki teri burai na kabhi
shukr kah kar bhi na lab par koi shikwa aaya
wada-e-wasl pe qasmen to na kha ahd-shikan
bawar aaya mujhe bas aur to aaya aaya
kah uTha aaj ki us but ko KHuda lae kahin
shukr hai lab pe mere nam KHuda ka aaya
fitne qadmon se lage rahte hain goya har-dam
aap kya aae ki ek majma-e-ada aaya
ashk aankhon mein bhare lab pe fughan daman-e-chaak
jo tamashe ko gaya wan se tamasha aaya
girye ko zabt kiya ruk na sake nale aah
TukDe ho ho ke mere munh ko kaleja aaya
jis ne dekha mujhe fariyaad-kunan wan 'salik'
rahm kaisa wo bura mujh ko hi kahta aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.