jis rahguzar se guzre wahi Khaar-dar thi
jis rahguzar se guzre vahī ḳhār-dār thī
ye zindagī sukūn kā ik intizār thī
haiñ ab jahāñ uruuj pe nafrat kī āñdhiyāñ
is shahr kī fazā bhī kabhī sāzgār thī
gar mere lauTne kā tujhe kuchh gila na thā
kyuuñ roktī nigāh tirī baar baar thī
palTe haiñ jaañ jo shahr-e-vafā se bachā ke ham
kuchh saath apne rahmat-e-parvardigār thī
kis tarah kartā yaad ko sochoñ se tū judā
'farruḳh' tirī to fikr bhī be-iḳhtiyār thī
jis rahguzar se guzre wahi KHar-dar thi
ye zindagi sukun ka ek intizar thi
hain ab jahan uruj pe nafrat ki aandhiyan
is shahr ki faza bhi kabhi sazgar thi
gar mere lauTne ka tujhe kuchh gila na tha
kyun rokti nigah teri bar bar thi
palTe hain jaan jo shahr-e-wafa se bacha ke hum
kuchh sath apne rahmat-e-parwardigar thi
kis tarah karta yaad ko sochon se tu juda
'farruKH' teri to fikr bhi be-iKHtiyar thi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 131)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.