jis roz se qirtas pe tahrir hain aankhen
jis roz se qirtās pe tahrīr haiñ āñkheñ
us roz se lagtā hai ki tasvīr haiñ āñkheñ
chehre haiñ sabhī ek se gar shahr-e-vafā meñ
phir tum hī kaho kis kī ye tafsīr haiñ āñkheñ
apnoñ ne mujhe lams kī tablīġh se rokā
ḳhud harf-e-mohabbat hī kī tash.hīr haiñ āñkheñ
jis din se koī qarya-e-ehsās se guzrā
us din se mire vāste zanjīr haiñ āñkheñ
ye kis ke liye dil meñ talātum sā bapā hai
ye kis ke liye aaj bhī dil-gīr haiñ āñkheñ
ye kaun se manzar mirī āñkhoñ meñ base haiñ
lagtā hai mujhe vādī-e-kashmīr haiñ āñkheñ
'sajjād' se kal us ne ba-sad-nāz kahā thā
ye dekh tire ḳhvāb kī ta.abīr haiñ āñkheñ
jis roz se qirtas pe tahrir hain aankhen
us roz se lagta hai ki taswir hain aankhen
chehre hain sabhi ek se gar shahr-e-wafa mein
phir tum hi kaho kis ki ye tafsir hain aankhen
apnon ne mujhe lams ki tabligh se roka
KHud harf-e-mohabbat hi ki tashhir hain aankhen
jis din se koi qarya-e-ehsas se guzra
us din se mere waste zanjir hain aankhen
ye kis ke liye dil mein talatum sa bapa hai
ye kis ke liye aaj bhi dil-gir hain aankhen
ye kaun se manzar meri aankhon mein base hain
lagta hai mujhe wadi-e-kashmir hain aankhen
'sajjad' se kal us ne ba-sad-naz kaha tha
ye dekh tere KHwab ki tabir hain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.