jis roz se sauda teri ulfat ka hai sar mein
jis roz se saudā tirī ulfat kā hai sar meñ
hastī kī bhī hastī na rahī merī nazar meñ
ai fikr-e-ma.īshat tujhe kyā kah ke maiñ kosūñ
do roz bhī rahne na diyā chain se ghar meñ
ahbāb shab-e-ġham mirī tasvīr na khīñcheñ
rahne deñ utar jā.egī ye raat hī bhar meñ
andher kiyā tū ne ye kyā be-ḳhudī-e-shauq
ghar se hameñ bāhar kiyā vo aa.e jo ghar meñ
ab aks se bhī aañkh milā.ī nahīñ jaatī
kho.e ga.e is tarah vo ā.īne ke ghar meñ
taare nahīñ ye āḳhir-e-shab charḳh pe 'safdar'
jo phuul nazar aate haiñ dāmān-e-sahar meñ
jis roz se sauda teri ulfat ka hai sar mein
hasti ki bhi hasti na rahi meri nazar mein
ai fikr-e-maishat tujhe kya kah ke main kosun
do roz bhi rahne na diya chain se ghar mein
ahbab shab-e-gham meri taswir na khinchen
rahne den utar jaegi ye raat hi bhar mein
andher kiya tu ne ye kya be-KHudi-e-shauq
ghar se hamein bahar kiya wo aae jo ghar mein
ab aks se bhi aankh milai nahin jati
khoe gae is tarah wo aaine ke ghar mein
tare nahin ye aaKHir-e-shab charKH pe 'safdar'
jo phul nazar aate hain daman-e-sahar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.