jis samt bhi nikalta hun us samt Khaar hai
jis samt bhi nikalta hun us samt Khaar hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
jis samt bhī nikaltā huuñ us samt ḳhaar hai
terā ye hijr merī javānī pe baar hai
ḳhushbū sī uḌ rahī hai havā.eñ hasīn haiñ
is samt ik faqīr kā shāyad mazār hai
kaTtā hai din mirā na basar ho rahī hai raat
sar pe mire ajiib aziyyat savār hai
ik vasl jis kī ḳhair ḳhabar hī nahīñ mujhe
ik hijr jis kī had hai na koī shumār hai
barsoñ se koī lams judā ho nahīñ rahā
muddat se ek yaad kā mujh ko ḳhumār hai
ai rahravān-e-dasht ḳhudā ke liye chalo
is qāfile meñ merā bhī ik shah-savār hai
bach kar kahāñ ga.e haiñ kabhī ahl-e-iztirāb
ye hijr ek teġh hai aur tez dhaar hai
sab kār-gāh-e-ishq meñ jaate haiñ shauq se
hālāñki koī baaġh nahīñ hai ye daar hai
har chiiz ko luTā ke rah-e-ishq meñ 'razā'
jo muskurā rahā hai vahī merā yaar hai
jis samt bhi nikalta hun us samt KHar hai
tera ye hijr meri jawani pe bar hai
KHushbu si uD rahi hai hawaen hasin hain
is samt ek faqir ka shayad mazar hai
kaTta hai din mera na basar ho rahi hai raat
sar pe mere ajib aziyyat sawar hai
ek wasl jis ki KHair KHabar hi nahin mujhe
ek hijr jis ki had hai na koi shumar hai
barson se koi lams juda ho nahin raha
muddat se ek yaad ka mujh ko KHumar hai
ai rahrawan-e-dasht KHuda ke liye chalo
is qafile mein mera bhi ek shah-sawar hai
bach kar kahan gae hain kabhi ahl-e-iztirab
ye hijr ek tegh hai aur tez dhaar hai
sab kar-gah-e-ishq mein jate hain shauq se
haalanki koi bagh nahin hai ye dar hai
har chiz ko luTa ke rah-e-ishq mein 'raza'
jo muskura raha hai wahi mera yar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.