jis se banti na thi kabhi apni
jis se bantī na thī kabhī apnī
mil ga.ī us se kunDalī apnī
anginat bhed khol detī hai
ek lamhe kī ḳhāmushī apnī
haa.e afsos ḳhud se milte vaqt
aaḌe aatī rahī kamī apnī
aah be-chārgāñ ke jaisī hai
pūchhte kyā ho zindagī apnī
kin ke asrār khul rahe haiñ mudām
aur hālat hai dīdanī apnī
pā-ba-zanjīr shauq hotā gayā
dekh le husn munsifī apnī
'umr-bhar saath saath the ham log
'umr-bhar ban nahīñ sakī apnī
kyoñ hai shams-o-qamar kā tū muhtāj
paidā kar ḳhud se raushnī apnī
haa.e dozaḳh ye peT kā dozaḳh
bech dī ham ne shā'irī apnī
bārishī sā mizāj hai us kā
aur naav hai kāġhazī apnī
maiñ sitāroñ se aage kyā jaatā
mujh meñ haa.il thī raushnī apnī
rabt-e-millat kā ḳhvāb thā apnā
par na tā'bīr ho sakī apnī
ham bhī karte qayās millat par
soch hotī jo hāshmī apnī
aise uljhe haiñ roz-o-shab meñ ham
barf hai soch par jamī apnī
jis se banti na thi kabhi apni
mil gai us se kunDali apni
anginat bhed khol deti hai
ek lamhe ki KHamushi apni
hae afsos KHud se milte waqt
aaDe aati rahi kami apni
aah be-chaargan ke jaisi hai
puchhte kya ho zindagi apni
kin ke asrar khul rahe hain mudam
aur haalat hai didani apni
pa-ba-zanjir shauq hota gaya
dekh le husn munsifi apni
'umr-bhar sath sath the hum log
'umr-bhar ban nahin saki apni
kyon hai shams-o-qamar ka tu muhtaj
paida kar KHud se raushni apni
hae dozaKH ye peT ka dozaKH
bech di hum ne sha'iri apni
barishi sa mizaj hai us ka
aur naw hai kaghazi apni
main sitaron se aage kya jata
mujh mein hail thi raushni apni
rabt-e-millat ka KHwab tha apna
par na ta'bir ho saki apni
hum bhi karte qayas millat par
soch hoti jo hashmi apni
aise uljhe hain roz-o-shab mein hum
barf hai soch par jami apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.