jis se falak paDegi dil-e-paemal mein
jis se falak paḌegī dil-e-pā.emāl meñ
vo kahkashāñ nahīñ hai tire ḳhadd-o-ḳhāl meñ
vo raat merī niiñd kā qaziya uThā na de
din kāTtā huuñ ab maiñ isī ehtimāl meñ
ḳhvābīdgī kī taab ubhārūñgā sher meñ
terā jamāl uuñgh rahā hai ḳhayāl meñ
ab giilī lakḌiyoñ kā bahāna fuzūl hai
din bhar se aag ghuum rahī hai jalāl meñ
ya.anī ye jism apnī khanak se khaḌā huā
yā iḳhtiyār-e-āb se utrā sifāl meñ
jis se falak paDegi dil-e-paemal mein
wo kahkashan nahin hai tere KHadd-o-KHal mein
wo raat meri nind ka qaziya uTha na de
din kaTta hun ab main isi ehtimal mein
KHwabidgi ki tab ubhaarunga sher mein
tera jamal ungh raha hai KHayal mein
ab gili lakDiyon ka bahana fuzul hai
din bhar se aag ghum rahi hai jalal mein
yani ye jism apni khanak se khaDa hua
ya iKHtiyar-e-ab se utra sifal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.