jis se is dil mein nur hota hai
jis se is dil meñ nuur hotā hai
kab mire dil se duur hotā hai
zikr meñ tere fikr meñ terī
ik 'ajab sā surūr hotā hai
jab se paayā hai ḳhud ko tujh dil meñ
ḳhud pe mujh ko ġhurūr hotā hai
us ko samjheñge kyā jahāñ vaale
kaise dil koh-e-tūr hotā hai
jitnā chāhā tujhe lagā kam hai
'ishq pe kab 'ubūr hotā hai
jab vo aate haiñ ye haqīqat hai
chāroñ sū nuur nuur hotā hai
dil sañbhālo na ḳhaak ho jaa.e
'ishq meñ kab shu'ūr hotā hai
us kā pal-bhar meñ ho gayā 'ādil'
zikr ye duur duur hotā hai
jis se is dil mein nur hota hai
kab mere dil se dur hota hai
zikr mein tere fikr mein teri
ek 'ajab sa surur hota hai
jab se paya hai KHud ko tujh dil mein
KHud pe mujh ko ghurur hota hai
us ko samjhenge kya jahan wale
kaise dil koh-e-tur hota hai
jitna chaha tujhe laga kam hai
'ishq pe kab 'ubur hota hai
jab wo aate hain ye haqiqat hai
chaaron su nur nur hota hai
dil sanbhaalo na KHak ho jae
'ishq mein kab shu'ur hota hai
us ka pal-bhar mein ho gaya 'adil'
zikr ye dur dur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.