jis se zamana silsila-e-KHwab le gaya
jis se zamāna silsila-e-ḳhvāb le gayā
maiñ dil kī anjuman meñ vo mahtāb le gayā
ilzām-e-be-ḳhudī hameñ manzūr hai magar
ye to batāo kaun mai-e-nāb le gayā
jis se zamāna-sāzoñ ke chehre utar ga.e
vo hausle kahāñ dil-e-betāb le gayā
maiñ āgahī ke zahr se labrez jaam thā
ik dast-e-ishtiyāq mujhe daab le gayā
ashkoñ ko rok ḳhud hī na ġharqāb ho kahīñ
mizhgāñ ko khol shahr ko sailāb le gayā
mere liye vajūd kī chādar ko chhoḌ kar
vo kaun hai jo resham-o-kam-ḳhvāb le gayā
mad.hosh jis se saarā zamāna huā 'ḳhalish'
saaqī kahāñ vo sāġhar-e-nāyāb le gayā
jis se zamana silsila-e-KHwab le gaya
main dil ki anjuman mein wo mahtab le gaya
ilzam-e-be-KHudi hamein manzur hai magar
ye to batao kaun mai-e-nab le gaya
jis se zamana-sazon ke chehre utar gae
wo hausle kahan dil-e-betab le gaya
main aagahi ke zahr se labrez jam tha
ek dast-e-ishtiyaq mujhe dab le gaya
ashkon ko rok KHud hi na gharqab ho kahin
mizhgan ko khol shahr ko sailab le gaya
mere liye wajud ki chadar ko chhoD kar
wo kaun hai jo resham-o-kam-KHwab le gaya
madhosh jis se sara zamana hua 'KHalish'
saqi kahan wo saghar-e-nayab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.