jis sukut-e-mustaqil par tujhko itna naz hai
jis sukūt-e-mustaqil par tujh ko itnā naaz hai
be-ḳhabar vo bhī to rusvā.ī kā ik andāz hai
aap ise harf-e-junūñ samjheñ ki harf-e-āgahī
ye bahar-sūrat shu.ūr-e-dard kī āvāz hai
kitne zaḳhmoñ kā bharam ik be-zabānī kī adā
kitnī āvāzoñ kā parda ik sukūt-e-nāz hai
lab hī lab kī bhiiḌ hai mai-ḳhāna-e-hastī meñ aaj
tishnagī hī tishnagī ab vaqt kī āvāz hai
tum ko hotā hai jo kāñToñ par bhī phūloñ kā gumāñ
vo bhī shā.ista-nigāhī kā mirī e.ajāz hai
kyā ḳhabar kab chhīn le mujh se tire ġham kī asaas
in dinoñ kuchh jārehāna vaqt kā andāz hai
is tarah lipTī hai dil se terī yādoñ kī lakīr
jaise ye bhī raushnī-e-zindagī kā raaz hai
jis ne dīvāna banā rakkhā hai saare shahr ko
vo takallum kā tire sañbhlā huā andāz hai
ban paḌe ai 'nāzim'-e-mahzūñ to chal us ke huzūr
shahr meñ bas ik vahī īsā-nafas dam-sāz hai
jis sukut-e-mustaqil par tujh ko itna naz hai
be-KHabar wo bhi to ruswai ka ek andaz hai
aap ise harf-e-junun samjhen ki harf-e-agahi
ye bahar-surat shuur-e-dard ki aawaz hai
kitne zaKHmon ka bharam ek be-zabani ki ada
kitni aawazon ka parda ek sukut-e-naz hai
lab hi lab ki bhiD hai mai-KHana-e-hasti mein aaj
tishnagi hi tishnagi ab waqt ki aawaz hai
tum ko hota hai jo kanTon par bhi phulon ka guman
wo bhi shaista-nigahi ka meri eajaz hai
kya KHabar kab chhin le mujh se tere gham ki asas
in dinon kuchh jarehana waqt ka andaz hai
is tarah lipTi hai dil se teri yaadon ki lakir
jaise ye bhi raushni-e-zindagi ka raaz hai
jis ne diwana bana rakkha hai sare shahr ko
wo takallum ka tere sanbhla hua andaz hai
ban paDe ai 'nazim'-e-mahzun to chal us ke huzur
shahr mein bas ek wahi isa-nafas dam-saz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.