jis talak meri rasai ho rahi hai
jis talak merī rasā.ī ho rahī hai
ai ḳhudā us se laḌā.ī ho rahī hai
ḳhūbsūrat shaḳhs haT jā sāmne se
merī āñkhoñ kī fanā.ī ho rahī hai
fāsla sā rakhtā huuñ ab yaar se maiñ
ishq meñ bhī pārsā.ī ho rahī hai
ai chaman royā nahīñ is baat par tū
phuul se merī judā.ī ho rahī hai
ḳhuun karne vaalā bhī shāyad yahī hai
haañ yahī jis kī gavāhī ho rahī hai
aur maiñ sab dushmanoñ se laḌ chukā huuñ
ab mirī ḳhud se laḌā.ī ho rahī hai
haath āñkhoñ pe yahāñ parda vahāñ bhī
kyā ajab sī muñh-dikhā.ī ho rahī hai
ġhāliban kuchh baat achchhī hogī mujh meñ
har taraf merī burā.ī ho rahī hai
jis talak meri rasai ho rahi hai
ai KHuda us se laDai ho rahi hai
KHubsurat shaKHs haT ja samne se
meri aankhon ki fanai ho rahi hai
fasla sa rakhta hun ab yar se main
ishq mein bhi parsai ho rahi hai
ai chaman roya nahin is baat par tu
phul se meri judai ho rahi hai
KHun karne wala bhi shayad yahi hai
han yahi jis ki gawahi ho rahi hai
aur main sab dushmanon se laD chuka hun
ab meri KHud se laDai ho rahi hai
hath aankhon pe yahan parda wahan bhi
kya ajab si munh-dikhai ho rahi hai
ghaaliban kuchh baat achchhi hogi mujh mein
har taraf meri burai ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.