jis taraf dekho tirgi si hai
jis taraf dekho tīrgī sī hai
sub.h-e-sādiq bhī shaam kī sī hai
kyuuñ sar-e-shām so ga.iiñ saḌkeñ
shahr meñ jaise sansanī sī hai
mujh ko āvāz de rahā hai kaun
ye sadā bhī to ajnabī sī hai
itnā masrūr ho gayā hai vo
us kī āñkhoñ meñ jo namī sī hai
vo mire ās-pās hai shāyad
ye jo aahaT dabī dabī sī hai
us khañDar meñ koī to hai rāhat
ik darīche meñ raushnī sī hai
jis taraf dekho tirgi si hai
subh-e-sadiq bhi sham ki si hai
kyun sar-e-sham so gain saDken
shahr mein jaise sansani si hai
mujh ko aawaz de raha hai kaun
ye sada bhi to ajnabi si hai
itna masrur ho gaya hai wo
us ki aankhon mein jo nami si hai
wo mere aas-pas hai shayad
ye jo aahaT dabi dabi si hai
us khanDar mein koi to hai rahat
ek dariche mein raushni si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.