jis taraf dekho udhar ek sar-ba-sar bazar hai
jis taraf dekho udhar ek sar-ba-sar bazar hai
Sayyed Riyaz Raheem
MORE BYSayyed Riyaz Raheem
jis taraf dekho udhar ik sar-ba-sar bāzār hai
ghar bhī ik bāzār hai aur rahguzar bāzār hai
dil kī bāteñ kis se kiije kaun suntā hai yahāñ
vo jo merā ham-safar hai ham-safar bāzār hai
dasht se tum kyoñ palaT kar aa ga.e is shahr meñ
ye kabhī jo shahr thā ab sar-basar bāzār hai
ik hunar ke saath rakhtā hai vo aisā ik hunar
naam hai dīvāngī kā aur hunar bāzār hai
jo gayā vo luT-luTā kar hī vahāñ se aa gayā
sab ke sab kahte to haiñ ik mo'tabar bāzār hai
tum use apnā samajh kar us ke pīchhe chal paḌe
tum ne kab samjhā use vo rāhbar bāzār hai
ham vahāñ jaate to phañs jaate usī ke jaal meñ
duur hī se lauT aa.e dekh kar bāzār hai
ham ne us se kuchh kahā thā us ne un se kuchh kahā
kyā kaheñ is daur kā har nāma-bar bāzār hai
kaun samjhā.e unheñ bāzār kā hissa jo haiñ
zindagī kā ye safar ik muḳhtasar bāzār hai
aap vahshat ke liye sahrā meñ aa.e haiñ 'riyāz'
aap ke dil meñ hai Dar aur ye hī Dar bāzār hai
jis taraf dekho udhar ek sar-ba-sar bazar hai
ghar bhi ek bazar hai aur rahguzar bazar hai
dil ki baaten kis se kije kaun sunta hai yahan
wo jo mera ham-safar hai ham-safar bazar hai
dasht se tum kyon palaT kar aa gae is shahr mein
ye kabhi jo shahr tha ab sar-basar bazar hai
ek hunar ke sath rakhta hai wo aisa ek hunar
nam hai diwangi ka aur hunar bazar hai
jo gaya wo luT-luTa kar hi wahan se aa gaya
sab ke sab kahte to hain ek mo'tabar bazar hai
tum use apna samajh kar us ke pichhe chal paDe
tum ne kab samjha use wo rahbar bazar hai
hum wahan jate to phans jate usi ke jal mein
dur hi se lauT aae dekh kar bazar hai
hum ne us se kuchh kaha tha us ne un se kuchh kaha
kya kahen is daur ka har nama-bar bazar hai
kaun samjhae unhen bazar ka hissa jo hain
zindagi ka ye safar ek muKHtasar bazar hai
aap wahshat ke liye sahra mein aae hain 'riyaz'
aap ke dil mein hai Dar aur ye hi Dar bazar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.