jis taraf jaiye milte hain adawat wale
jis taraf jā.iye milte haiñ adāvat vaale
uTh ga.e duniyā se kyā log mohabbat vaale
dosto tum ho agar chashm-e-ināyat vaale
ham bhī kuchh kam nahīñ ḳhud.dār tabī.at vaale
apne hāthoñ se banāte haiñ muqaddar apnā
gardish-e-vaqt se Darte nahīñ himmat vaale
mauj sāhil kā bhī sar toḌ ke rakh detī hai
kyā samajhte haiñ ġharīboñ ko ye daulat vaale
jitne baune the unheñ tamġha-o-e.azāz milā
aur chup rah ga.e ūñche qad-o-qāmat vaale
ibtidā hī meñ ye vahshat ye badan meñ larzish
marhale aur bhī ā.eñge musībat vaale
manzil-e-dār pe ik maiñ hī akelā pahuñchā
ghar se nikle the bahut shauq-e-shahādat vaale
talḳh bātoñ ko bhī sah lete haiñ chup-chāp 'zafar'
muñh kamīnoñ se lagāte nahīñ izzat vaale
jis taraf jaiye milte hain adawat wale
uTh gae duniya se kya log mohabbat wale
dosto tum ho agar chashm-e-inayat wale
hum bhi kuchh kam nahin KHuddar tabiat wale
apne hathon se banate hain muqaddar apna
gardish-e-waqt se Darte nahin himmat wale
mauj sahil ka bhi sar toD ke rakh deti hai
kya samajhte hain gharibon ko ye daulat wale
jitne baune the unhen tamgha-o-eazaz mila
aur chup rah gae unche qad-o-qamat wale
ibtida hi mein ye wahshat ye badan mein larzish
marhale aur bhi aaenge musibat wale
manzil-e-dar pe ek main hi akela pahuncha
ghar se nikle the bahut shauq-e-shahadat wale
talKH baaton ko bhi sah lete hain chup-chap 'zafar'
munh kaminon se lagate nahin izzat wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.