jis taraf jaoge ek shor sunai dega
jis taraf jāoge ik shor sunā.ī degā
kahīñ lekin koī chehra na dikhā.ī degā
jaane kyā haal nigāhoñ kā vo lamha kar de
jab na kuchh tere sivā mujh ko dikhā.ī degā
Dūbte vaqt kī āvāz huuñ kar lo mahfūz
phir mire baa'd ye naġhma na sunā.ī degā
haath phailāte hue is liye Dar lagtā hai
kyā karūñgā vo agar mujh ko ḳhudā.ī degā
raat ko pyaar kī sauġhāt milī hai jis se
sub.h hogī to vahī zaḳhm-e-judā.ī degā
itnā chup-chup jo paḌā hai to ġhanīmat jaano
dil ko chheḌoge to sau tarh duhā.ī degā
ruuh ke saath maiñ uḌ jā.uñgā jaane kis or
jab mujhe qaid-e-badan se vo rihā.ī degā
haath kho.e haiñ to kyoñ DhūñD rahe ho 'ḳhāvar'
kyā tumheñ ghor añdhere meñ sujhā.ī degā
jis taraf jaoge ek shor sunai dega
kahin lekin koi chehra na dikhai dega
jaane kya haal nigahon ka wo lamha kar de
jab na kuchh tere siwa mujh ko dikhai dega
Dubte waqt ki aawaz hun kar lo mahfuz
phir mere ba'd ye naghma na sunai dega
hath phailate hue is liye Dar lagta hai
kya karunga wo agar mujh ko KHudai dega
raat ko pyar ki saughat mili hai jis se
subh hogi to wahi zaKHm-e-judai dega
itna chup-chup jo paDa hai to ghanimat jaano
dil ko chheDoge to sau tarh duhai dega
ruh ke sath main uD jaunga jaane kis or
jab mujhe qaid-e-badan se wo rihai dega
hath khoe hain to kyon DhunD rahe ho 'KHawar'
kya tumhein ghor andhere mein sujhai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.