jis taraf nazar kije wahshaton ka saman hai
jis taraf nazar kiije vahshatoñ kā sāmāñ hai
zindagī hī kyā ab to ḳhvāb tak pareshāñ hai
ik havā-e-betābi ham ko le uḌī varna
bāl-o-par ke parde meñ himmat-e-gurezāñ hai
ai havā-e-ġham tū ne sab diye bujhā Daale
phir bhī ḳhalvat-e-jāñ meñ duur tak charāġhāñ hai
dār-o-gīr-e-vahshat meñ ab panāh kyā DhūñDeñ
ye zamīn dāman hai āsmāñ garebāñ hai
maiñ huuñ jab talak baaqī ye mukālima hogā
ai haqīqat-e-hastī merā naam insāñ hai
jis taraf nazar kije wahshaton ka saman hai
zindagi hi kya ab to KHwab tak pareshan hai
ek hawa-e-betabi hum ko le uDi warna
baal-o-par ke parde mein himmat-e-gurezan hai
ai hawa-e-gham tu ne sab diye bujha Dale
phir bhi KHalwat-e-jaan mein dur tak charaghan hai
dar-o-gir-e-wahshat mein ab panah kya DhunDen
ye zamin daman hai aasman gareban hai
main hun jab talak baqi ye mukalima hoga
ai haqiqat-e-hasti mera nam insan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.