jis tarah bachche buzurgon ke charan chumte hain
jis tarah bachche buzurgoñ ke charan chūmte haiñ
ham mohabbat se mohabbat kā badan chūmte haiñ
muñh lagāte nahīñ bāzār ke phūloñ ko kabhī
ham faqat apne gulāboñ ke dahan chūmte haiñ
maiñ ne hālāt pe rakkhī hai ġhazal kī buniyād
is liye log mirā rang-e-suḳhan chūmte haiñ
muñh pe mal lete haiñ ham ḳhāk-e-madīna kī tarah
maañ ke qadmoñ kī tarah ḳhāk-e-vatan chūmte haiñ
zindagī meñ to unheñ bojh samajhte haiñ magar
log marne pe buzurgoñ kā kafan chūmte haiñ
aur baḌh jaatā hai manzil pe pahuñchne kā surūr
aable jab mire pairoñ kī thakan chūmte haiñ
jis tarah bachche buzurgon ke charan chumte hain
hum mohabbat se mohabbat ka badan chumte hain
munh lagate nahin bazar ke phulon ko kabhi
hum faqat apne gulabon ke dahan chumte hain
main ne haalat pe rakkhi hai ghazal ki buniyaad
is liye log mera rang-e-suKHan chumte hain
munh pe mal lete hain hum KHak-e-madina ki tarah
man ke qadmon ki tarah KHak-e-watan chumte hain
zindagi mein to unhen bojh samajhte hain magar
log marne pe buzurgon ka kafan chumte hain
aur baDh jata hai manzil pe pahunchne ka surur
aable jab mere pairon ki thakan chumte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.