jis tarah baiTha ho koi KHwab mein baiThe raho
jis tarah baiThā ho koī ḳhvāb meñ baiThe raho
do ghaḌī to dīda-e-pur-āb meñ baiThe raho
merī ḳhū hai naddiyoñ ke saath bahnā jhūmnā
tum ta'affun se bhare tālāb meñ baiThe raho
dard kahtā hai ki uTh tanhā.iyoñ kī samt chal
zabt kī zid hai magar ahbāb meñ baiThe raho
paar ho jā.eñge jo taḳhtoñ se haiñ lipTe hue
tum simaT kar kashtī-e-nāyāb meñ baiThe raho
ye havā-e-tund hai mismār kartī hai magar
uḌ bhī sakte ho agar girdāb meñ baiThe raho
jis tarah baiTha ho koi KHwab mein baiThe raho
do ghaDi to dida-e-pur-ab mein baiThe raho
meri KHu hai naddiyon ke sath bahna jhumna
tum ta'affun se bhare talab mein baiThe raho
dard kahta hai ki uTh tanhaiyon ki samt chal
zabt ki zid hai magar ahbab mein baiThe raho
par ho jaenge jo taKHton se hain lipTe hue
tum simaT kar kashti-e-nayab mein baiThe raho
ye hawa-e-tund hai mismar karti hai magar
uD bhi sakte ho agar girdab mein baiThe raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.