jis tarah sang mein shahkar bhi rah sakte hain
jis tarah sang meñ shahkār bhī rah sakte haiñ
us tarah ham pas-e-dīvār bhī rah sakte haiñ
tere aane se ḳhushī lauT bhī saktī hai magar
aur kuchh hijr ke āsār bhī rah sakte haiñ
adliya adl ke me.aar se gir saktī hai
qaid meñ sāhib-e-kirdār bhī rah sakte haiñ
ham faqīroñ meñ kahāñ hai koī tafrīq kī baat
ham faqīroñ meñ to sardār bhī rah sakte haiñ
kuchh ghaḌī duur to rah merī taḌap kī ḳhātir
varna ham qurb se bezār bhī rah sakte haiñ
ye siyāsat hai yahāñ sab ko jagah miltī hai
maulvī faujī-o-fankār bhī rah sakte haiñ
aap chāheñ to hameñ chhoḌ deñ chalte chalte
aap chāheñ to vafādār bhī rah sakte haiñ
ye zarūrī to nahīñ sāmne aa kar kheleñ
kuchh khilāḌī pas-e-darbār bhī rah sakte haiñ
dekhne vāloñ ne mahdūd kiyā hai 'mūsā'
varna ham tuur ke us paar bhī rah sakte haiñ
jis tarah sang mein shahkar bhi rah sakte hain
us tarah hum pas-e-diwar bhi rah sakte hain
tere aane se KHushi lauT bhi sakti hai magar
aur kuchh hijr ke aasar bhi rah sakte hain
adliya adl ke mear se gir sakti hai
qaid mein sahib-e-kirdar bhi rah sakte hain
hum faqiron mein kahan hai koi tafriq ki baat
hum faqiron mein to sardar bhi rah sakte hain
kuchh ghaDi dur to rah meri taDap ki KHatir
warna hum qurb se bezar bhi rah sakte hain
ye siyasat hai yahan sab ko jagah milti hai
maulwi fauji-o-fankar bhi rah sakte hain
aap chahen to hamein chhoD den chalte chalte
aap chahen to wafadar bhi rah sakte hain
ye zaruri to nahin samne aa kar khelen
kuchh khilaDi pas-e-darbar bhi rah sakte hain
dekhne walon ne mahdud kiya hai 'musa'
warna hum tur ke us par bhi rah sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.