jis tarah waqt ki sarhad ka kinara hi na ho
jis tarah vaqt kī sarhad kā kinārā hī na ho
din usī taur guzārā ki guzārā hī na ho
tark-e-ulfat ko zamāna huā lekin ab tak
aisā lagtā hai tujhe dil se utārā hī na ho
chup rahe tū to lage jaise pukārā hai mujhe
jab pukāre to lage jaise pukārā hī na ho
soch lene se ġhazal sāḳhta ho jaatī hai
vo ġhazal pesh karo jis ko sañvārā hī na ho
log tajjār zamāne meñ bahut haiñ ab bhī
sochte haiñ jo mohabbat meñ ḳhasāra hī na ho
zindagī chāhiye sairāb nazar karne ko
varna ik-ādh jhalak se to guzārā hī na ho
'ābdī' TūTte taare nazar aa.e haiñ mujhe
ye zamīñ chhoḌ ke jaane kā ishāra hī na ho
jis tarah waqt ki sarhad ka kinara hi na ho
din usi taur guzara ki guzara hi na ho
tark-e-ulfat ko zamana hua lekin ab tak
aisa lagta hai tujhe dil se utara hi na ho
chup rahe tu to lage jaise pukara hai mujhe
jab pukare to lage jaise pukara hi na ho
soch lene se ghazal saKHta ho jati hai
wo ghazal pesh karo jis ko sanwara hi na ho
log tajjar zamane mein bahut hain ab bhi
sochte hain jo mohabbat mein KHasara hi na ho
zindagi chahiye sairab nazar karne ko
warna ik-adh jhalak se to guzara hi na ho
'abdi' TuTte tare nazar aae hain mujhe
ye zamin chhoD ke jaane ka ishaara hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.