jis waqt naha kar tu kisi jhil se nikle
jis vaqt nahā kar tū kisī jhiil se nikle
vo pal na mirī aañkh kī tahvīl se nikle
nam kar ga.iiñ kāġhaz ko tire hijr kī nazmeñ
is baab meñ aañsū baḌī tafsīl se nikle
arbāb-e-siyāsat se madad maañg ke kuchh log
is mulk se bāhar haiñ kisī Deal se nikle
auroñ ke liye vaj.h-e-tafāḳhur haiñ sar-e-dast
jo lā'l-o-guhar the mirī zambīl se nikle
ik baat thī qur.ān kī aayat to nahīñ thī
phir bhī jo ma'ānī mirī tāvīl se nikle
mat pūchh ki is baat kī jo mujh ko ḳhushī hai
aañsū haiñ har ik she'r kī takmīl se nikle
un ko bhī zamāne kī havā lag ga.ī 'yāvar'
vo lauT kar aa.e haiñ to tabdīl se nikle
jis waqt naha kar tu kisi jhil se nikle
wo pal na meri aankh ki tahwil se nikle
nam kar gain kaghaz ko tere hijr ki nazmen
is bab mein aansu baDi tafsil se nikle
arbab-e-siyasat se madad mang ke kuchh log
is mulk se bahar hain kisi Deal se nikle
auron ke liye wajh-e-tafaKHur hain sar-e-dast
jo la'l-o-guhar the meri zambil se nikle
ek baat thi quran ki aayat to nahin thi
phir bhi jo ma'ani meri tawil se nikle
mat puchh ki is baat ki jo mujh ko KHushi hai
aansu hain har ek she'r ki takmil se nikle
un ko bhi zamane ki hawa lag gai 'yawar'
wo lauT kar aae hain to tabdil se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.