jis waqt se KHafa wo mera yar ho gaya
jis vaqt se ḳhafā vo mirā yaar ho gayā
karnā sahar bhī shaam ko dushvār ho gayā
mujh zaar se vo turk jo do-chār ho gayā
tīr-e-nigāh dil ke mire paar ho gayā
jab se lagī hai aañkh se us kī hamārī aañkh
har-dam ḳhayāl-e-nargis-e-bīmār ho gayā
do dil ko mil ke baiThne detā nahīñ hai tū
kyā sheva terā gumbad-e-davvār ho gayā
shikva bhalā raqīb kā kis se karūñ ki jab
dil sā rafīq dar-pa.e-āzār ho gayā
bātoñ pe tū vilāyat-e-be-pīr kī na jā
iifā butoñ kā bhī kahīñ iqrār ho gayā
kaisī bahār kaisā chaman kaisā naach rang
apnī baġhal se jabki judā yaar ho gayā
us ne kiyā ishāra jo mahfil meñ ġhair se
ik tīr-e-rashk dil ke mire paar ho gayā
us sham.a-rū ne mujh ko jo bulvāyā bazm meñ
jal kar adū mirā vahīñ finnār ho gayā
qātil nahīñ rahī mujhe ummīd-e-zindagī
'ḳhanjar' kā tere sar pe mire vaar ho gayā
jis waqt se KHafa wo mera yar ho gaya
karna sahar bhi sham ko dushwar ho gaya
mujh zar se wo turk jo do-chaar ho gaya
tir-e-nigah dil ke mere par ho gaya
jab se lagi hai aankh se us ki hamari aankh
har-dam KHayal-e-nargis-e-bimar ho gaya
do dil ko mil ke baiThne deta nahin hai tu
kya shewa tera gumbad-e-dawwar ho gaya
shikwa bhala raqib ka kis se karun ki jab
dil sa rafiq dar-pae-azar ho gaya
baaton pe tu wilayat-e-be-pir ki na ja
ifa buton ka bhi kahin iqrar ho gaya
kaisi bahaar kaisa chaman kaisa nach rang
apni baghal se jabki juda yar ho gaya
us ne kiya ishaara jo mahfil mein ghair se
ek tir-e-rashk dil ke mere par ho gaya
us shama-ru ne mujh ko jo bulwaya bazm mein
jal kar adu mera wahin finnar ho gaya
qatil nahin rahi mujhe ummid-e-zindagi
'KHanjar' ka tere sar pe mere war ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.