jis waqt uski chashm se hum chaar ho chale
jis vaqt us kī chashm se ham chaar ho chale
goyā ki do-jahāñ se ḳhabar-dār ho chale
ārām-o-sabr-o-tāb-o-tavāñ hosh kyā qarār
iitī matā.a de ke tujhe ḳhvār ho chale
kuchh qadr jān-o-dil ko agar ho to le vale
kahne ko ham bhī us ke ḳharīdār ho chale
go jal ke ḳhaak ho ga.e yā ḳhush rahe to kyā
aa.e the is jahān meñ be-yār ho chale
ma.alūm ye huā ki ġharaz dil se thī jo ab
le dil ko vūhīñ yaar se aġhyār ho chale
aamad meñ jo maza hai so āvurd meñ nahīñ
kahne ko ham bhī sāhib-e-ash.ār ho chale
āñjhū nahīñ mizha pe 'alī' ye ba-qaul-e-tarz
the dil ke aable so numūdār ho chale
jis waqt us ki chashm se hum chaar ho chale
goya ki do-jahan se KHabar-dar ho chale
aaram-o-sabr-o-tab-o-tawan hosh kya qarar
iti mataa de ke tujhe KHwar ho chale
kuchh qadr jaan-o-dil ko agar ho to le wale
kahne ko hum bhi us ke KHaridar ho chale
go jal ke KHak ho gae ya KHush rahe to kya
aae the is jahan mein be-yar ho chale
malum ye hua ki gharaz dil se thi jo ab
le dil ko wuhin yar se aghyar ho chale
aamad mein jo maza hai so aawurd mein nahin
kahne ko hum bhi sahib-e-ashaar ho chale
aanjhu nahin mizha pe 'ali' ye ba-qaul-e-tarz
the dil ke aable so numudar ho chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.