jise hai zoam ki usne hawa ke par bandhe
jise hai zo.am ki us ne havā ke par bāñdhe
agar hai dam to hamārī duā ke par bāñdhe
uThā.e haath azāb-o-balā ke par bāñdhe
ye kis duā ne kisī badduā ke par bāñdhe
huī na aaj bhī tauba ke TūTne kī sabīl
ḳhudā ne aaj bhī kaalī ghaTā ke par bāñdhe
koī to ho jo use rok le tabāhī se
koī to ho jo dil-e-mubtalā ke par bāñdhe
hamārī soch kī parvāz roknā thā muhāl
hamīñ ne jaan key baazī lagā ke par bāñdhe
ka.ī dinoñ se kisī kā salām hai na payām
mire adū key baazī lagā ke par bāñdhe
shifā key aas lagā.e marīz baiThā hai
duā ko haath uThā.e davā ke par bāñdhe
'hafīz' maut se luqmān bach sake kab tak
baḌe hakīm the kab tak qazā ke par bāñdhe
jise hai zoam ki us ne hawa ke par bandhe
agar hai dam to hamari dua ke par bandhe
uThae hath azab-o-bala ke par bandhe
ye kis dua ne kisi baddua ke par bandhe
hui na aaj bhi tauba ke TuTne ki sabil
KHuda ne aaj bhi kali ghaTa ke par bandhe
koi to ho jo use rok le tabahi se
koi to ho jo dil-e-mubtala ke par bandhe
hamari soch ki parwaz rokna tha muhaal
hamin ne jaan key bazi laga ke par bandhe
kai dinon se kisi ka salam hai na payam
mere adu key bazi laga ke par bandhe
shifa key aas lagae mariz baiTha hai
dua ko hath uThae dawa ke par bandhe
'hafiz' maut se luqman bach sake kab tak
baDe hakim the kab tak qaza ke par bandhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.