jise hum dil samajhte the wahi ab dilruba nikla
jise ham dil samajhte the vahī ab dilrubā niklā
ḳhudā kī shaan hai jo mudda.ī kā mudda.ā niklā
pas-e-murdan talāshī lī farishtoñ ne to kyā niklā
chhupā ik gosha-e-dil meñ ḳhayāl-e-dil-rubā niklā
tah-e-shamshīr bhī bhūle na ham qātil ke ehsāñ ko
chalī talvār ruk ruk kar zabāñ se marhabā niklā
mere ash.ār sun ke ḳhush hue par vaa.e re qismat
zabāñ se marhabā kahne ko the mar be-hayā niklā
fanā fillāh jab 'asġhar' hue to ye khulā uqda
jise ham but samajhte the vahī apnā ḳhudā niklā
jise hum dil samajhte the wahi ab dilruba nikla
KHuda ki shan hai jo muddai ka muddaa nikla
pas-e-murdan talashi li farishton ne to kya nikla
chhupa ek gosha-e-dil mein KHayal-e-dil-ruba nikla
tah-e-shamshir bhi bhule na hum qatil ke ehsan ko
chali talwar ruk ruk kar zaban se marhaba nikla
mere ashaar sun ke KHush hue par wae re qismat
zaban se marhaba kahne ko the mar be-haya nikla
fana fillah jab 'asghar' hue to ye khula uqda
jise hum but samajhte the wahi apna KHuda nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.