jise humse mohabbat ho yahan par baiTh sakta hai
jise ham se mohabbat ho yahāñ par baiTh saktā hai
khulā dar hai koī bhī aa ke andar baiTh saktā hai
ziyāda bhī kisī bachche ko dhamkāna nahīñ varna
buḌhāpe tak ko us ke dil meñ ye Dar baiTh saktā hai
hamāre kahne se tum āb-o-dāna rakh ke to dekho
tumhārī chhat pe bhī aa kar kabūtar baiTh saktā hai
shajar haiñ ham to patthar khā ke bhī badle meñ phal deñge
hamārī chhāoñ meñ dushman bhī aa kar baiTh saktā hai
ġhamoñ ke virus ne dil hamārā aise jakḌā hai
zarā sā muskurāne se bhī server baiTh saktā hai
zamīñ par maḳhmalī chādar ho aur kursī pe kāñTe hoñ
to phir raajā bhī ḳhush ho kar zamīñ par baiTh saktā hai
kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌegā ye jo 'ishq hai aasif
ise uñglī na pakḌānā ye sar par baiTh saktā hai
jise hum se mohabbat ho yahan par baiTh sakta hai
khula dar hai koi bhi aa ke andar baiTh sakta hai
ziyaada bhi kisi bachche ko dhamkana nahin warna
buDhape tak ko us ke dil mein ye Dar baiTh sakta hai
hamare kahne se tum aab-o-dana rakh ke to dekho
tumhaari chhat pe bhi aa kar kabutar baiTh sakta hai
shajar hain hum to patthar kha ke bhi badle mein phal denge
hamari chhaon mein dushman bhi aa kar baiTh sakta hai
ghamon ke wirus ne dil hamara aise jakDa hai
zara sa muskurane se bhi serwer baiTh sakta hai
zamin par maKHmali chadar ho aur kursi pe kanTe hon
to phir raja bhi KHush ho kar zamin par baiTh sakta hai
kahin ka bhi nahin chhoDega ye jo 'ishq hai aasif
ise ungli na pakDana ye sar par baiTh sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.