jise ho puchhna puchhe nahin ki kya dukh hai
jise ho pūchhnā pūchhe nahīñ ki kyā dukh hai
har ek dukh se mire dost ye baḌā dukh hai
maiñ jāntā huuñ ki dukh bhī abhī maza degā
na.ī na.ī hai mohabbat nayā nayā dukh hai
mirī ḳhushī meñ tū shāmil mirī du'āoñ meñ tū
tirā jo dukh hai mirī jaan vo mirā dukh hai
ḳhushī ke vaqt 'azīzoñ kā muñh banā lenā
udaas lamhoñ meñ yāroñ kā qahqaha dukh hai
nahīñ huā mire ajdād meñ koī shā'ir
agar na maiñ bhī huā she'r-go to kyā dukh hai
ab is jahān meñ kaise koī rahe 'anjum'
jahāñ pe kam hai ḳhushī aur be-bahā dukh hai
jise ho puchhna puchhe nahin ki kya dukh hai
har ek dukh se mere dost ye baDa dukh hai
main jaanta hun ki dukh bhi abhi maza dega
nai nai hai mohabbat naya naya dukh hai
meri KHushi mein tu shamil meri du'aon mein tu
tera jo dukh hai meri jaan wo mera dukh hai
KHushi ke waqt 'azizon ka munh bana lena
udas lamhon mein yaron ka qahqaha dukh hai
nahin hua mere ajdad mein koi sha'ir
agar na main bhi hua she'r-go to kya dukh hai
ab is jahan mein kaise koi rahe 'anjum'
jahan pe kam hai KHushi aur be-baha dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.