jise hunar hi nahin ghar ki sarbarahi ka
jise hunar hī nahīñ ghar kī sarbarāhī kā
vo roz dekhtā hai ḳhvāb bādshāhī kā
sabhī to karte haiñ dā'vā-e-pārsā.ī yahāñ
pata kisī ko nahīñ qalb kī siyāhī kā
uThī jo haq kī sadā to nikal paḌe ghar se
zarā bhī ḳhauf nahīñ gaañv kī tabāhī kā
ġhalat kahūñ to gunahgār sach kahūñ to burā
baḌā hī saḳht hai ye kaam bhī gavāhī kā
ye rāsta hai kabhī rāsta nahīñ thaktā
takān sirf muqaddar huā hai raahī kā
ye aur baat mujhe qaid kar do tum lekin
subūt rakhtā huuñ maiñ apnī be-gunāhī kā
bahut hasīñ hai tirā tarz-e-zindagī 'nāzir'
javāb koī nahīñ terī kaj-kulāhī kā
jise hunar hi nahin ghar ki sarbarahi ka
wo roz dekhta hai KHwab baadshahi ka
sabhi to karte hain da'wa-e-parsai yahan
pata kisi ko nahin qalb ki siyahi ka
uThi jo haq ki sada to nikal paDe ghar se
zara bhi KHauf nahin ganw ki tabahi ka
ghalat kahun to gunahgar sach kahun to bura
baDa hi saKHt hai ye kaam bhi gawahi ka
ye rasta hai kabhi rasta nahin thakta
takan sirf muqaddar hua hai rahi ka
ye aur baat mujhe qaid kar do tum lekin
subut rakhta hun main apni be-gunahi ka
bahut hasin hai tera tarz-e-zindagi 'nazir'
jawab koi nahin teri kaj-kulahi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.