jise kali raat na Das sake jise aasman na Dara sake
jise kali raat na Das sake jise aasman na Dara sake
Niyaz Sultanpuri
MORE BYNiyaz Sultanpuri
jise kaalī raat na Das sake jise āsmāñ na Darā sake
koī aisī sham.a jalā.iye jo havā se aañkh milā sake
maiñ na.ī sahar kā naqīb huuñ mujhe fikr-e-naf-o-zarar nahīñ
mire saath mahv-e-safar vo ho jo ajal ke saaz pe gā sake
mire dast ko vo hunar atā ho tire dayār-e-kamāl se
jo diloñ meñ azm jagā sake jo nazar meñ phuul khilā sake
tū ḳhayāl-o-fikr se māvarā tū sarāpā raaz hī raaz hai
tirī khoj meñ jo sadā rahe tirī gard ko bhī na pā sake
vo hamīñ the jo tire naam par sar-e-dār hañs ke guzar ga.e
kisī falsafī se na ban paḌā na faqīh-e-vaqt hī jā sake
tire mai-kade kā ajiib rasm-o-rivāj hai mire sāqiyā
koī rind jaam lapak sake na sharāb muñh se lagā sake
ye qazā-o-qadr kā khel hai kahīñ dhuup hai kahīñ chhāñv hai
jise tum ne chāhā vo mil gayā jise ham ne chāhā na pā sake
mire un ke biich thiiñ dūriyāñ ai 'niyāz' kaisī ḳhabar nahīñ
mujhe apne paas bulā sake na ġharīb-ḳhāne tak aa sake
jise kali raat na Das sake jise aasman na Dara sake
koi aisi shama jalaiye jo hawa se aankh mila sake
main nai sahar ka naqib hun mujhe fikr-e-naf-o-zarar nahin
mere sath mahw-e-safar wo ho jo ajal ke saz pe ga sake
mere dast ko wo hunar ata ho tere dayar-e-kamal se
jo dilon mein azm jaga sake jo nazar mein phul khila sake
tu KHayal-o-fikr se mawara tu sarapa raaz hi raaz hai
teri khoj mein jo sada rahe teri gard ko bhi na pa sake
wo hamin the jo tere nam par sar-e-dar hans ke guzar gae
kisi falsafi se na ban paDa na faqih-e-waqt hi ja sake
tere mai-kade ka ajib rasm-o-riwaj hai mere saqiya
koi rind jam lapak sake na sharab munh se laga sake
ye qaza-o-qadr ka khel hai kahin dhup hai kahin chhanw hai
jise tum ne chaha wo mil gaya jise hum ne chaha na pa sake
mere un ke bich thin duriyan ai 'niyaz' kaisi KHabar nahin
mujhe apne pas bula sake na gharib-KHane tak aa sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.