jise KHud se juda rakkha nahin hai
jise ḳhud se judā rakkhā nahīñ hai
vo merā hai magar merā nahīñ hai
jise khone kā mujh ko Dar hai itnā
use maiñ ne abhī paayā nahīñ hai
nuqūsh ab zehn se miTne lage haiñ
bahut din se use dekhā nahīñ hai
sunā hai phuul ab khilte nahīñ haiñ
to kyā khul kar vo ab hañstā nahīñ hai
nagar chhoḌā hai jab se us ġhazal ne
koī shā.ir ġhazal kahtā nahīñ hai
tirī yādoñ se raushan hai mirā dil
ye vo sūraj hai jo Dhaltā nahīñ hai
mirī āñkhoñ kā ye dariyā ajab hai
ki bahtā hai to phir thamtā nahīñ hai
ḳhushī kā ho koī yā ġham kā lamha
guzar jaatā hai kyoñ ruktā nahīñ hai
'sabīh'-o-ḳhūb-rū chehre ka.ī haiñ
magar koī bhī us jaisā nahīñ hai
jise KHud se juda rakkha nahin hai
wo mera hai magar mera nahin hai
jise khone ka mujh ko Dar hai itna
use main ne abhi paya nahin hai
nuqush ab zehn se miTne lage hain
bahut din se use dekha nahin hai
suna hai phul ab khilte nahin hain
to kya khul kar wo ab hansta nahin hai
nagar chhoDa hai jab se us ghazal ne
koi shair ghazal kahta nahin hai
teri yaadon se raushan hai mera dil
ye wo suraj hai jo Dhalta nahin hai
meri aankhon ka ye dariya ajab hai
ki bahta hai to phir thamta nahin hai
KHushi ka ho koi ya gham ka lamha
guzar jata hai kyon rukta nahin hai
'sabih'-o-KHub-ru chehre kai hain
magar koi bhi us jaisa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.