jise main apni jaanib manta tha
jise maiñ apnī jānib māntā thā
vo apne aap meñ hī mubtalā thā
baḌī hairat huā kartī hai mujh ko
use le kar maiñ kyā kyā sochtā thā
ġhazab kī be-ḳhudī taarī thī mujh par
maiñ apne aap ko bhūlā huā thā
tumheñ kyā DhūñDhtā us daur meñ jab
maiñ ḳhud se hī bichhaḌ kar rah gayā thā
nazāre aañkh meñ simTe hue the
samundar duur tak phailā huā thā
bhale hī āgahī sotī rahī thī
magar maiñ 'umr-bhar jaagā huā thā
jise main apni jaanib manta tha
wo apne aap mein hi mubtala tha
baDi hairat hua karti hai mujh ko
use le kar main kya kya sochta tha
ghazab ki be-KHudi tari thi mujh par
main apne aap ko bhula hua tha
tumhein kya DhunDhta us daur mein jab
main KHud se hi bichhaD kar rah gaya tha
nazare aankh mein simTe hue the
samundar dur tak phaila hua tha
bhale hi aagahi soti rahi thi
magar main 'umr-bhar jaga hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.