jise na hijr ne mara azab kya jaane
jise na hijr ne maarā 'azāb kyā jaane
jo muztarib na ho vo iztirāb kyā jaane
tajallī-e-ruḳh-e-mahtāb par hai apnī nazar
zamāna dāġh-e-dil-e-māhtāb kyā jaane
ye lāzmī hai ki sīkhe vo chashm-e-tar se mirī
tarīq-e-āb-fishānī sahāb kyā jaane
'alam se teġh se hai vāsta mujāhid ko
vo tabl-o-barbat-o-chang-o-rabāb kyā jaane
judā ho aab se jab ho ḳhabar tujhe maahī
darūn-e-bahr hai to pech-o-tāb kyā jaane
ḳhabar fanā kī jo hotī na sat.h par aatā
numūd-e-ḳhud kā natīja hubāb kyā jaane
galīm-e-kohna hai jhuggī hai rūkhī-sūkhī hai
faqīr-e-gosha-nashīñ ro’b-o-dāb kyā jaane
ḳhudā-e-pāk hidāyat na de use jab tak
vo rū-siyāh sirāt-e-savāb kyā jaane
ho tūl-e-umr to hotā hai tajraba vāfar
jo kuchh hai shaiḳh ko mā'lūm shaab kyā jaane
raheñge bheḌiye bheḌoñ kī khaal meñ kab tak
jhalak paḌegī haqīqat naqāb kyā jaane
hijāb-e-ġhaib meñ kyā hai kisī ko kyā mā'lūm
koī ba-parda nihāñ inqalāb kyā jaane
tumhāre naaz na apnī nazīr rakhte haiñ
tumhārī shoḳh-mizājī javāb kyā jaane
barāh-e-rāst pahuñchtī hai arsh-e-ā’lā tak
fuġhān-e-zulm-rasīda hijāb kyā jaane
paḌe na jis kī nazar husn-e-she’r par mere
vo kor-chashm hai motī kī aab kyā jaane
judā hai raah kisī kī kisī se ai 'bartar'
janāb-e-shaiḳh kī rind-e-ḳharāb kyā jaane
jise na hijr ne mara 'azab kya jaane
jo muztarib na ho wo iztirab kya jaane
tajalli-e-ruKH-e-mahtab par hai apni nazar
zamana dagh-e-dil-e-mahtab kya jaane
ye lazmi hai ki sikhe wo chashm-e-tar se meri
tariq-e-ab-fishani sahab kya jaane
'alam se tegh se hai wasta mujahid ko
wo tabl-o-barbat-o-chang-o-rabab kya jaane
juda ho aab se jab ho KHabar tujhe mahi
darun-e-bahr hai to pech-o-tab kya jaane
KHabar fana ki jo hoti na sath par aata
numud-e-KHud ka natija hubab kya jaane
galim-e-kohna hai jhuggi hai rukhi-sukhi hai
faqir-e-gosha-nashin ro’b-o-dab kya jaane
KHuda-e-pak hidayat na de use jab tak
wo ru-siyah siraat-e-sawab kya jaane
ho tul-e-umr to hota hai tajraba wafar
jo kuchh hai shaiKH ko ma'lum shab kya jaane
rahenge bheDiye bheDon ki khaal mein kab tak
jhalak paDegi haqiqat naqab kya jaane
hijab-e-ghaib mein kya hai kisi ko kya ma'lum
koi ba-parda nihan inqalab kya jaane
tumhaare naz na apni nazir rakhte hain
tumhaari shoKH-mizaji jawab kya jaane
barah-e-rast pahunchti hai arsh-e-a’la tak
fughan-e-zulm-rasida hijab kya jaane
paDe na jis ki nazar husn-e-she’r par mere
wo kor-chashm hai moti ki aab kya jaane
juda hai rah kisi ki kisi se ai 'bartar'
janab-e-shaiKH ki rind-e-KHarab kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.