jise nazron ki surat apni aankhon mein basaya tha
jise nazroñ kī sūrat apnī āñkhoñ meñ basāyā thā
usī ik ḳhvāb ne har moḌ par mujh ko rulāyā thā
tire ik qahqahe ne jis ko ik pal meñ girā Daalā
gharauñdā vo to maiñ ne apne ashkoñ se banāyā thā
ḳhushī se uḌte uḌte aa ga.e is shāḳh par bhañvre
jahāñ kāñToñ ne us kī maut kā sāmāñ sajāyā thā
sitārā ye zamīñ bhī āsmāñ kā ek TukḌā hai
jise roz-e-azal shāyad ḳhudā ne āzmāyā thā
mere hoñToñ pe 'bīnā' muskurāhaT yuuñ machaltī thī
ki maiñ ne hasratoñ ko apne sheroñ meñ chhupāyā thā
jise nazron ki surat apni aankhon mein basaya tha
usi ek KHwab ne har moD par mujh ko rulaya tha
tere ek qahqahe ne jis ko ek pal mein gira Dala
gharaunda wo to main ne apne ashkon se banaya tha
KHushi se uDte uDte aa gae is shaKH par bhanwre
jahan kanTon ne us ki maut ka saman sajaya tha
sitara ye zamin bhi aasman ka ek TukDa hai
jise roz-e-azal shayad KHuda ne aazmaya tha
mere honTon pe 'bina' muskurahaT yun machalti thi
ki main ne hasraton ko apne sheron mein chhupaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.