jise paDi thi diye se diya jalane ki
jise paḌī thī diye se diyā jalāne kī
use bhī lag ga.ī āḳhir havā zamāne kī
qadam ba-ḳhāk-e-dayār-e-ġharīb ho jaa.e
ki lete jaa.eñ duā.eñ ġharīb-ḳhāne kī
qubūl kar liye maiñ ne tamām-tar ilzām
ye ek āḳhirī koshish thī ghar bachāne kī
ham aadmī haiñ ḳhatā-kār kyā zarūrat thī
phir āzmā.e hue log āzmāne kī
sukūt-e-gumbad-e-shāhāna meñ ḳhalal aaya
sunī hai guuñj saḳhāvat ke tāziyāne kī
vabā chalī hai koī shahr meñ to sab lauTe
sunī ga.ī mire vīrān āshiyāne kī
maiñ apne chehre kī chuntā huuñ kirchiyāñ 'shāhid'
sazā milī hai mujhe aa.ina banāne kī
jise paDi thi diye se diya jalane ki
use bhi lag gai aaKHir hawa zamane ki
qadam ba-KHak-e-dayar-e-gharib ho jae
ki lete jaen duaen gharib-KHane ki
qubul kar liye main ne tamam-tar ilzam
ye ek aaKHiri koshish thi ghar bachane ki
hum aadmi hain KHata-kar kya zarurat thi
phir aazmae hue log aazmane ki
sukut-e-gumbad-e-shahana mein KHalal aaya
suni hai gunj saKHawat ke taziyane ki
waba chali hai koi shahr mein to sab lauTe
suni gai mere viran aashiyane ki
main apne chehre ki chunta hun kirchiyan 'shahid'
saza mili hai mujhe aaina banane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.